Kisi ke liye ab ye aankhe num na karenge,Wo chale bhi jaye to gum na karenge,Ho gayi khataa kisi ko jaan se jyada chaha,Ab ye khataa dobaara hum na karenge.
Dard jigar mein uttha hai, koi marham lagane vala nahin aag lagti hai dil mein, koi bujhaane vala nahin kis se umeed rakhe hum iss bhare jahan mein har kisi ne rulaaya iss qadar, koi hansaane vala nahin
Unhe nafrat thi humse to izhar kyun kiya.Dena tha zehar to pyar kyun kiya.Deke zehar kehte hai peena hoga.Jab pee gaye to bole tumhe meri kasam jeena hoga.
Kitabon mai rakh k sula gaya ham ko Ankh band ki aur bhula gaya ham ko Koi ajeeb musavar tha jo barishon k mosam main Kachi deewaron pe bana gaya ham ko.