Chaar tinke jala ke kya mil gaya Mit sakana zamane se mera nishaan, Mujhpe bijli girao to jaanu sahi Aashiaan par girane se kya faaida Bhoolne waale se koyi keh de zara is tarah yaad aane se kya faaida, Jab mere dil ki duniya basaati nahin phir khayaalon mein aane se kya faaida
Ek khalbali machi hai mere andar hi andar, sham ko tufaan se hue manzar hi manzar, kaise main chain paau aise samay ziyaad, hawaa thami to dil mein bawandar hi bawandar
Kisi k Haq mein hi sahi, wo DUA to kare Wo keh nahi sakta, meri Suna to Kare Main Lott jaon ga apni Udas Duniya main Wo shaks mujhse Bicherny ka faisla to kare