Ek khalbali machi hai mere andar hi andar, sham ko tufaan se hue manzar hi manzar, kaise main chain paau aise samay ziyaad, hawaa thami to dil mein bawandar hi bawandar
Unhe bhool jayein wo nazar kahan se layein, kisi aur ko chahein wo jigar kahan se layein,Reh nahi sakte unke bina uff bhi na nikle wo zeher kahan se laye
Ho sakta hai humne anjane me aapko kabhi rula diya, aapne duniya ke kehnepe hume bhula dia, hum to vaise bhi akele the duniya mein, Aaj aapne ehsaas dila diya.
Ek aur raat chali gayi zindagi se, Ek aur din aa raha hai zindagi me; Yeh mat socho ke kitne lamhe hai zindagi me, Yeh socho ke kitni zindagi hai har lamhe me.