Roz sochti hu,aaz izhaar kar dein..Magar dar lagta hai,ki tum inkaar na kar dein,Roz dil kehta hai,keh dein dil ki baat..,Magar lagta hai tum sray aam badnaam na kar dein.
Bahoot tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki, Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki. Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo, Saza mili hai hume bus muskurane ki
Hum Duniya Ki Bheed Mai Tanha Reh Gaye,Hum Unka Har Sitam Ko Hans Kar Seh Gaye,Jinhe Chaha Is Zindagi Se Bhad Kar Humne,Hum Mil Nahi Sakte Woh Yeh Keh Gaye
Dheere dheere se ab tere pyaar ka dard kam hua, na tere aane ki khushi hui aur na jaane ka gam hua, jab log mujhse puchte hain hamari pyar ki dastaan, main keh deta hun ki ek fasana tha jo ab khatm hua…