Meri Mayat Ko Jab Uthane Ki Bat Hogi, Har Ankh Se Ansu Ki Barsat Hogi, Aap Muskra Kar 1 Phool Rakh Dena Meri Hatheli Par, Jate Jate Apki Koi Nishani To Mere Sath Hogi
mere to dard bhi auro ke kaam aate hain me ro padu to bahut loog muskurate hain khuda jane wo loog kaise sukun paate hain dilo ke khail me jo haar jaate hain
Aap har manjil ko muskil samajhte hai, hum har muskil ko manjil samajhte hai, Bada farak hai aapke aur hamare nazariye me, aap dil ko dard aur hum dard ko dil samajhte hai.
Jakhm jab mere sine me bhar jayenge, ansu bhi moti bankar bikhar jayenge, ye mat puchna kis kis ne dhoka diya, varna kuch apno ke bhi chehere utar jayenge.
Zaruri to nahi jine ke liye sahara ho, Zaruri to nahi hum jinke hai who humara ho, Kuch kashtiya dub bhi jaya karti hai, Zaruri to nahi har kashti ka kinara ho