Unki galiyoon se jab gujre to manjar ajeeb tha, Dard tha magar wo dil ke kareeb tha, Jise hum dhoondhte the apni hathoon ki lakeeroon mein... Wo kisi doosre ki kismat, kisi aur ka naseeb tha.
Bada armaan tha tere sang jeevan bitanne ka, Shikwa he bas tere khamosh reh jaane ka, Dewaangi isse badkar bhi kya hogi, Aaj bhi intajaar hai tere aane ka.
Woh Nazar kahan se laun jo tumhe bhulade, Woh dawa kahan se laun jo is Dard ko mitade, Milna to likha hota hai Taqdiron me Par, Woh Taqdir hi kahan se laun joh Hum Dono ko milade…
Na hai koi khuda jinpe hum aitbaar kar sake, Na hai koi wafa jinpe hum jaan luta sake, Ye to in hasino ke aangan ke phool hain bas, Jinke kaante hi itne hai, ke koi dil hi na laga sake."
Jo ansu ki tarah behta gya wo raqt hu mai jise qadam qadam par ajmaya gya wo waqt hu mai shayad isi tarah likhi meri taqdeer khuda ne jise chahne wala to mila par chaha na gya aise shaqs hu mai