Ahsaan hai tera dil par , ke ishq toone sikhaaya, Doondha kayi baar dil ko , dariya -e- gum hi paaya Lutaaya kayi baar is dilko , humne teri khaatir, Rang teri wafa ka mere , ashko mein nazar aaya Hoti hai band saanse , na hoga shikva kisiko Samjhenge wo ke unko, koi khwaab bura aaya ....
Koi kuch bhi na kahay to pata kya hai Is bechain khamoshi ki wajah kya hai Unhain ja kay koi kahay hum lay lenge zahar bhi Woh sirf yeh to bata dain meri khata kya hai.......
Jakhm itne gahare he ki ijhar kya kare, ham khud nishana ban gaye, war kya kare, Mar gaye ham par khuli rahi aankhe, aab isase jyada unka intejar kya kare?
kabhi tera naam lete hai Dil se hum inteqam lete hai Meri barbadiyo ke afsane Mere yaro ke naam lete hai Bas yehi ek jurm hai apna Hum muhabat se kaam lete hai.
Kashish to bahut he pyar me mere par koi pathar-dil pighalta nahin uparwala mile to us se mangu pyar apna Par suna he MOUT se pehle wo kisi ko milta nahi.
MOHABBAT KA AJEEB KAROBAAR HUM NE KIYA,....WOH BEWAFA SEHI MAGAR PYAAR HUM NE KIYA WOH CHOR GAYEA TO MAT KEHO BURA US KO,...QASOOR USKA NAHE "AITEBAAR" HUM NE KIYA!
Hosh Me Aaye Zamana Hua, Lekin Bahosh Khud Ko Paate Hain, Arsha Beeta Iss Duniya Mein, Lekin Khud Ko Tanha Paate Hain, Dar Lagta Hai Lambi Umar Se, Itna Duniya Ne Sataya Hai, Log Mout Se Dara Karte Hain, Hum Zindagi Se Ghabraatein Hain…
Ek din lehron k phool bhi murjha jayenge, Had se bhi zyaada hum tumhe yaad aayenge. Ehesaas hoga jab tumhe mere pyaar ka, Hum iss duniyan se door chale jaayenge