Har Taraf Mukaddar Ki Kami Nikli, Kabar Bhi Khodi To Jameen Pathar Ki Nikli, Le Kar Meri Lash wo Jalane Gaye,To Kambakht Mere Naseeb Ki Lakdi Bhi Gili Nikli.
Duniya mein kisi se kabhi pyar mat karna, Apne anmol aansoo iss tarah bekar mat karna, Kaante to phir bhi daman tham lete hain , Phulon pe iss tarah kabhi aitebar mat karna..
Kitni jaldi ye raat guzar jaati hai, pyaas bujhti nahi aur barsaat guzar jaati hai, apni yaado se keh do ki yu hame sataya na kare, neend aati nahi aur raat guzar jaati hai..
Dil Toota Hamara Ismein Khuda Ki Marzi Hogi, Ismein Kuch Unki Khutgarzi Bhi Hogi, Dil Diya Tha Unhe Hamne Apna Samajh Kar, Tod Diya Unhone Ise Ek Sapna Samajh Kar
kisi se pyar soch samajhkar nahi hota,har apna lagnewala humsafar nahi hota,tanhai katon ki tarah chubhti hai to kya hua,katon ko murjhane ka darr to nahi hota