Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
Sar jhukaoge to pathar devta ho jayega Use itna mat chaho woh bewafa ho jayega Main khuda ka naam lekar pi raha hun dosto Zehar bhi usme agar hoga to dava ho jayega Hum bhi dariya hai hame apna hunar malum hai Jis taraf bhi chal padenge rasta ho jayega
Maikhane mein jam tut jata hai, Ishq mein dil tut jata hai, Na jaane kya rishta hain dono mein. Jam tute to Ishq yaad aata hai, Dil tute to Jam yaad aata hai.
Aae dil tu mohabbat karta kyu hai,Jo karta hai to phir tadapta kyu hai,Jo baith gaya hai dil me pyaar ka dard ban kar,Woh aankho ke raaste nikalta kyu hai.
Mujhe Sata K Wo Meri Duaain Leti Hai, Use Khabar Hai K Mujhe Bad dua deni Nahi Aati,Sb Kuch Sonp Dia Use Humne,Phir B Kehti Hai Wo Hume Wafa karni Nahi Aati