Hum hawa nahi jo kho jayenge, Hum waqt nahi jo guzar jayenge. Hum mausam nahi jo badal jayenge, Hum to aasu hai jo khushi aur gum dono mein nazar aayenge.
Tum se bichda to mat puch kidhar jaunga, Chupchap teri gali se guzar jaunga, Jab tujko hogi mere haale paresha ki khabar, To ask bankar tere gaalo se lipat jaunga.......
Kismat Ke Maaro Se Pyaar Kiya Nahi Karte,Darr Darr Ke Hum Kabhi Jiya Nahi Karte,Dil Tutne Ka Darr Unko Hoga,Jo Bichadne Ke Darr Se Pyaar Kiya Nahi Karte..
Kisne meri kabar par aake diya jala diya Bijli kadak ke gir padi sara chaman jala diya Chain se so raha tha main odhe kafan majar par Yahan bhi satane aa gaye, kisne pata bata diya
Kitabon mai rakh k sula gaya ham ko Ankh band ki aur bhula gaya ham ko Koi ajeeb musavar tha jo barishon k mosam main Kachi deewaron pe bana gaya ham ko.
Manzile bi uski thi,Rasta bhi uska tha. Ek main akela tha,Kafila bi uska tha.. Sath Sath chalne ki soch bi uski thi,Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha... Aaj kyo akela hoon,Dil sawal karta hai,Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska tha,.