Ankho mein raha dil me utar kar nahi dekha Kasti ke musafir ne kabhi samandar nahi dekha Bewaqt agar jaunga sab chauk padenge Muddat hui din me kabhi ghar nahi dekha
Mohabbat Ko Mohabbat Ka Ishara Yaad Raheta Hai.Har Pyaar Ko Apna Pyaar Yaad Raheta Hai.Do Pal Jo Unki Bahon Me Guzre Ho Maut Tak Wo Nazara Yaad Raheta Hai.
Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon,Ye meri pyas hai nadiya talash karta hoon,Yahan to log ginate hai khubiya apni,Me apne aap me khamiya talash karta hoon..