Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
Sabhi log to kabhi acchay nahi hotay jin say such sikha ho woh bhi sachay nahi hotay,Kyun aisa hai aithbar ke toti dehlizon par jo boht he apnay hon woh bhi apnay nahi hotay.
Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai
Mai tujhko chahkar kaise kisiki chah karun,Tujhe nibha ke kyu kar koi nibaah karun,Tu zindagi hi nahi meri bandagi bhi hai,kisi aurko sochke kaise koi gunaah karun? :