Roye ho bahut tab zara karar mila hai, Is jahan mein kisey sacha pyar mila hai, Guzaar rahi hai zindagi imtehan ke daur se ek khattam hoa toh doosra taiyaar mila hai .....
Mohabat k safar me koi rasta nahi deta,Zameen Wakif nahi banti falak saya nahi deta,Uthana khud hi padta he thaka tuta badan,K jab tak saans chalti he koi kandha nahi deta.
Tuta hua shisha phir joda nahi jata,Aankh se Nikla hua aansu phir wapis nahi aata,Tum to keh ke bhool chuke ho sab kuch,Lekin humse wo pal bhulaya nahi jata
Aap to chand ho jise sab yad karte hain or hamari kismat to taro jaisi hai,hume yad karna to door,Log apni khawahish ke liye hamare tutne ki fariyad karte hain.