Waqt guzarta raha par sanse thami si thi, muskura rahe the hum par ankho mein namisi thi, sath hamare ye Jahan tha sara,par Na jane kyun kisi ki kami si Thi
Wo mera nahi ye batana ajib lagta hai,Ab us se aankhe milana ajib lagta hai,Chahte the jiska hath thamna umar bhar,Ab us se hath bhi milana ajib lagta ha
Sata sata ke hamen ashqbar karti hai Tumhari yaad bahut beqaraar karti hai Gila nahi ke nasibo ne kar diya hai juda Teri judaai bhi hamse pyar karti hai
La pila de saqiya paimana paimane ke baad Hosh ki baate karunga hosh me aane ke baad Waqt do hi zindagi me guzre hai kathin Ek tere aane se pahle ek tere jane ke baad.