Humne Iss Duniya Main, Itne Zakhm Khaaye Hain Mujhse Jo Bichad Gaye, Wo Khud Mere Saaye Hain Jee Rahaa Hoon Zindagi Main In Aansuon Ke Sahaare Mere Liye To Ab Apne Bhi Paraaye Hain
Raah me jab bhi mudkar dekhoge, mujhe apne saath paaoge, Chale jao chahe jitni dur, mujhe apne dil me paoge, Kabhi yaad aa jaaye hamari, to band kar lena aankhen apni, Dur hokar bhi tum mujhe apne kaareeb paoge.
Hijr Ke Mosam Main Ye Barish Ka Barasna Kesa Ik Sehraa Se Samandar Ka Guzarna Kesa Aye Mere Dil Na Pareshan Ho Tanha Ho Kar Wo Tere Sath Chala Kab Tha To Bichadna Kesa.