Zindagi, Manjil, Waqt Kisi Ne Humara Saath Nahi Diya, Sab Par Se Puri Tarah Bharosa Uth Gaya. Is Duniya Se Ub Gaya Hai Ab Humara Jiya, Kisi Ko Kitna Hi Chaha Kam Reh Gaya.
Andhere me rosni ka wajood shayd kahi kho gaya hai,khusi ka silsila bhi ab to ateet ho gaya hai,ik roshan shama banana chahte the khud ko hum,taki door kar saken andhere ka gum,Tej andhi ne shama ka vajood usi andhere me dubo diya hai....
Har pal har lamha karte the jinhe hum yaad, kabhi sirf kabhi kabhi hoti thi jisse baat. Aaj wo hi nahin mere paas.Jiski baate soch kar apni tanhai ko bhuljata tha, jinhe yaad kar ke kabhi hasta tha to kabhi udaas hota tha. Aaj wo hi nahin mere paas.