Kehte hain patthar dil aadmi ke, aansoo nahi nikalte; Par teri hi kudrat hai, pattharon se hi jharne phootte hain. Dil patthar ke nahin hote, jamana bana deta hai Sakhta patthar ke peeche ka dard kise pata hota hai?
Kabar ki mitti utha ke le gaya koi, isi bahane humein choo kar chala gaya koi, tanhayi aur andhere mein khush they hum, lekin phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi..
Geele kagaz ke tarah hai zindagi apni koi jalata bhi nahi, koi bahaata bhi nahi, akele hi chale jaa rahe hai dil ke raaho me koi satata bhi nahi, koi manata bhi nahi.
Ye Wada hum karte hain DOSTI Nibhayenge, koshish rahegi Tuze na kabhi Satayenge, Zarurat pade to dil se pukarna, marte bhi rahe to mohlat le kar ayenge..
Wada kar ke jo mukar jate hain Woh log sab se jyada kareeb hote hain Waqt to chalta hai chal ke badalta hai Par ye log waqt se pehle hi badal jate hain..