Jo gham hai mere dil mein, kaise bayaa karu dhoop bhi jab sard ho to dil ghabraata hai dikhta nahi jo jakhm, use kya dawaa karu, hamdard ko jab dard ho to dil ghabraata hai
Kya Kya na socha Tha dil ne, kya kya na sapne sajaaye…. jal gaye saare sapne… reh gaye khaak ke saaye…. ab gila bhi kisse karoon main… kasoor To kisika bhi nahi… upar vaale ne hi kuch aise sitam ab mujh pe dhaaye, kuch na keh sake… nikli to bas dil se yehi aawaaz… haaye!