Raah me jab bhi mudkar dekhoge, mujhe apne saath paaoge, Chale jao chahe jitni dur, mujhe apne dil me paoge, Kabhi yaad aa jaaye hamari, to band kar lena aankhen apni, Dur hokar bhi tum mujhe apne kaareeb paoge.
Waqt NE sari kahani hi badal dali,Pyar ka naam Jo aata hai to Dar lagta hai,Zakham kuch aise bhi apno NE diye hai mujhko,AB koi haath milata hai to Dar lagta hai
Ai muhabbat tere anjam pe rona aaya Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham Manzile ishq mein har gaam pe rona aaya