aye khuda mere her ek gunaah ki saza mujhe mile, vo jo chahe mere dua hai usse mile, tammam gunaahoin ki sazayain to jaanta hai , ab tu ye bata ki gunaah-e-isqe ki kya saza mujhe mile
Maut jab saamne aati hai to jee letaa hoon, Zakhm muh kholne lagte hain to see letaa hoon, mujhko maaloom hai masti ki haqeeqat lekin, Hosh jab hadh se guzarti hai to pee letaa hoon!!
Ek khalbali machi hai mere andar hi andar, sham ko tufaan se hue manzar hi manzar, kaise main chain paau aise samay ziyaad, hawaa thami to dil mein bawandar hi bawandar