Dil ki hasrat zubaan par aane lagi,Tumhe dekha aur zindagi muskurane lagi, Ye deewangi thi ya meri nazar ka dhokha,Har cheez mein surat teri nazar aane lagi.
Jeena kabhi kabi bewajah sa lagta hai, ye waqt b kbi bewaqt sa lagta hai, adat si hai hame tere gume intazar ki, teri yaad aye aur dard na ho ajib sa lagta hai.
Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne, khud bula ker phir sataya hai kisi ne, jab tak jali hai shama jalta raha parwana, kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Mera kya hai ek roz jahan se rukhsat ho jaunga,Mere baad na aankho se moti bahana tum.Tere bina jinda laash hun mujhe koi ehsaas nahi,Chhukar mere jism ko koi nayi aas na jaganaa tum.