Dard ki had se guzarna to abhi baqi hai Tut ke mera bikharna to abhi baqi hai Pas akar mera dukh dard batanewale Mujhse katra ke guzarna to abhi baqi hai
Ansuoo ko palko tale chupaye baithe hai,zakhamo ko aaj hum silaye baithe hai,tu bewafa huaa to kya.....kahi hamari wafa badnam na ho jaye hoto ko isliye dabaye baithe hai.....
Na puch mere sabar ki intha kaha tak hai, Tu sitam kar le teri taaqt jahan tak hai.wafa ki umid jine hogi unhe hogi,hume to dekna hai tu bewafa kahan tak hai
Bhigi Barsaat me jalata hu, tuze kya maloom? Main samandar hu bikharata hu, tuze kya maloom? Jabse dekha hai mohabbat ka hasi Tajamahal, Kate haathon ko chhuppata hu, tuze kya maloom