Juba khamosh oR ankho me nami hogi, yahi bas ek dastan e jindagi hogi, bharne ko to har zakhm bhar jaega, kaise bharegi wo jagah, jaha TERI kami hogi..!
Zaruri to nahi jine ke liye sahara ho, Zaruri to nahi hum jinke hai who humara ho, Kuch kashtiya dub bhi jaya karti hai, Zaruri to nahi har kashti ka kinara ho
Zamee pe nahi yaar, dilon pe raaj kar Har soorat-e-wafaa ka hardam riyaaz kar naa paa sakaa muhabbat iska na gham banaa jo de saka muhabbat uspe tu naaz kar..