Dil ka dhadakna jaari hai tere jaane ke baad, Tu bhi khush hai apni duniya basane ke baad, Ye baat aur hai ke ab jeena wo jeena nahi, Hum aaj bhi Gham-deeda hain tujhe bhulane ke baad......
Har aansu lete hain bus tera hi naam.. Har aansu dete hain sirf yahi paigaam… Ke har aansu mein basi hain teri yaadein tamaam…. To aaj khaate hain inhi aansuon ki kasam….. Ke ab har aansu karenge saanson ka kaam
Na khuda dil banata na kisise pyar hota, Na kisiki yaad ati na kisika intazar hota. Dil diya hai ise sambhal ke rakhna, Shishe se bana hai pathar se dur rakhna
dard sahne se nahi darte hum,par us dard ke khatm hone ki koi aas to ho.dard chahe jitna bhi dardnaak kyu na ho,par dard dene waale ko uska ehsaas to ho.