Intezaar ka jo meetha dard diya hai aapne, mujh par bada ehsaan kiya hai aapne. Yeh hichkiyan bhi to nahi aati kambakht, jo sochu ke yaad kiya hai aapne.
Dheere dheere se ab tere pyaar ka dard kam hua, na tere aane ki khushi hui aur na jaane ka gam hua, jab log mujhse puchte hain hamari pyar ki dastaan, main keh deta hun ki ek fasana tha jo ab khatm hua…
Jo ansu ki tarah behta gya wo raqt hu mai jise qadam qadam par ajmaya gya wo waqt hu mai shayad isi tarah likhi meri taqdeer khuda ne jise chahne wala to mila par chaha na gya aise shaqs hu mai
Kaash Ke Unhe Chahne Ka Armaan Na Hota,Main Hosh Mein Hote Huye Anjaan Na Hota,Yeh Pyaar Na Hota Kisi Patthar Dil Se Hume,Ya Koi Patthar Dil Insaan Na Hota.