Hakikat na puch mere fasane ki,tere jate hi badal gayi nazar zamane ki. Log puchte hai mai khush kyun nahi,kya kahu meri toh adat thi tere sang muskurane ki.
Dard e dil ne dekho kitne gam jele hai, mere masoom dil me zakhmo ke mele hai, mehfil ki khwahish thi muje yaro, dekho zindagi me aaj hum kitne akele hai.
Hosh me aaye zamana hua, lekin bahosh khud ko paate hain, arsha beeta iss duniya mein, lekin khud ko tanha paate hain, dar lagta hai lambi umar se, itna duniya ne sataya hai, log mout se dara karte hain, hum zindagi se ghabraatein hain…
rok lo qadam jee bhar ke dekhlo hamara tumhara saath bas yahin tak tha manzil mile na mile ab hamari kismat ke zindagi ke saath safar bas yahin tak tha
Unki yaadon main kabhi hum so bhi na sake... unke khayalon mein kabhi kho bhi na sake.. jab judaai ka waqt aaya to kismatt dekho.. hum aakhon se ro bhi na sake