Rulane se pahale ek bar hasaya to hota, kasur kya hai is dil ka bataya to hota, mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne, kaash ye dil kabhi kahi lagaya na hota.
Kadam Kadam Par Baharon Ne Sath Chod Diya, Pada Jab Wakt To Apno Ne Sath Chod Diya. Kasam Kaii Thi Is Sitaron Ne, Sath Dene Ki , Subah Hote Hi Sitaron Ne Bhi Sath Chod Diya.
hasane ke bad kyon rulati hai duniya, jaane ke bad kyon bhulati hai duniya, baki rehti hai kya kasar zindgi me, ki marne ke bad bhi jalati hai duniya......