Raat ankho me dhaLi palkon par jugnu aye hum hawao ki tarah jakar use chuh aye usne chuh kar mujhe pathar se insan kiya mudhaton baad meri ankho me ansu aye
Wada kar ke jo mukar jate hain Woh log sab se jyada kareeb hote hain Waqt to chalta hai chal ke badalta hai Par ye log waqt se pehle hi badal jate hain..
Chand ki raton mein sara jahan sota hai, Lekin kisi ki yadoon mein koi badnaseeb rota hai, Khuda kisi ko mohabbat pe fida na kare, Agar kare to kisi ko juda na kare..
Unki tasveer ko seene se laga lete hain, iss tarah judai ka gham mitaa lete hain. Kisi tarah zikar ho jaye unka, to hass kar bheegi palkein jhuka lete hain.