Dhalti shaam ka khula ehsaas hai, mere dil mein teri jagah kuchh khaas hai, tu nahin hai yahan maloom hai mujhe, par dil keta hai tu yahin mere paas hai.
Shama parvana choro apne pyar ki baat karo Maatam ka shauk choro apne yaar ki baat karo Roné se nazron ke ashka sukh gaye hain ab Patjhar ka dukh bhulo apne bahaar ki baat karo
Wada to kar lete hai par nibhana bhul jate hai, laga kar aag sine main buzana bhul jate hai, bhulana jaisi adat ho gai hai _ap ki, aap hi rulate hai, our fir manana bhul jate hai.
khete he zindagi ek kahani hai, Magar hum to ek badnam kissa bankar reh gaye. khud ki zindagi ki kahani to likhi nhi. auro ki kahani ka ek hissa bankar reeh geye
Pyar kya he,ye na jaan saka aaj tak khuda b, iski gehrai me dubne wala na ubar saka kabhi b, ye sirf dard aur ruswai hi deta hai, bhul k b ishq na karna kabhi b