Kitne Badal Gaye Hai Woh Halat Ki Tarah..Khamosh Baithe Hai Guzre Lamhat Ki Tarah..Hum Kya Un K Husn Ka Sadka Utar De..Hume Pyar Bhi Mila To Khairat Ki Tarah..
Raastay Khud Hi Tabahi K Nikalay Humnay , Kar Diya Dil Kisi Patthar K Hawalay Humnay , Haan!! Hume Maalum Hai Kya Cheez Hai Mohabbat Yaaro, Apna Hi Ghar Jala K Dekhay Hai Ujjalay Humne..
Badi Mannat Se Mere Duniya Lutai Hoge..Mera Pyaar Ki Hasti Bhi Mitai Hoge Laa Tera Pairo Me Marham Laga Du Mera Dil Ko Thokar Marne Me Tumhe Chot To Aaye Hoge
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
Hame ashqon se palkon ko bhigona nahin aata,mile jo khushi to use khona nahin aata,seh lete hain har gam haske aur log kehte hain hamen rona nahin aata.
Begano se dosti ki gunjaish nahi hoti maut ke baad baki koi khawaish nahi hoti shayad koi pyar bhara dil tuta hoga warna april ke mahine me baris nahi hoti.
Nae Us Par Itna Yakeen Kyon Hain Uska Khayal Itna Itna Haseen Kyon Hain Suna Hai Pyaar Ka Dard Mitha Hota Hai To Aankhon Se Nikla Aansu Namkeen Kyon Hai..