Na teer, na talvaar se ghayal hue hum... Teri sirf ik nazaar se, ilzaam, Shaayar hue hum... Huwi hum se ye nadani, kay teri mehfil mein aah bethay. Ho kay zameen ki khakh, aasman se dil laga bethay.
Chup Rehte To Dum Ghut-ta Aur Dard Zada Hota Kuch Moo Se Nikal Jata Tou Koi Khafa Ho Jata WO Jab Bhi Zaara Rotha Chup Behte Rahe Hum Bhi Aik Baar Mana Lete Tou Roz Khafa Hota.
Bhool jate hai hame yaad karta hai kon,zakhm dete hai sab marham rakhta hai kon,hum har pal marte hai aapki judai me, humare aansuo ki kadar karta hai kon.
Dil Ko Har Waqt Tasalli Dena Hota Hai. Dard Hota Hai Na Jane Kahaan Hota Hai. Aap Kyun Puchte Ho Is Dard Ki Haalat. Hum Kya Batayen Ki Ye Dard Kahaan Hota Hai.
Ai muhabbat tere anjam pe rona aaya Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham Manzile ishq mein har gaam pe rona aaya