In aankhon me aasoo aaye na hote, Agar tum pichhe mudkar muskuraye na hote, Tumhare jaane ke baad ye gam hota hai, kaash tum zindagi me aayehi na hote !!!
Pyar ki rasmo ko nibhaana aasaan nahi hota Uski kasmon par chalna aasaan nahi hota Chhodh diya humne pyar karna kyunki Apne pyar ko kisi aur ke saath dekhna aasaan nahi hota!
Sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi, har waqt muskarane ki aadat nahi rahi, yeh soch ke ki koi manane nahi aayega, ab hamein ruth jane ki aadat nahi rahi