Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
Aap har manjil ko muskil samajhte hai, hum har muskil ko manjil samajhte hai, Bada farak hai aapke aur hamare nazariye me, aap dil ko dard aur hum dard ko dil samajhte hai.