Baton Baton Main Bichadne Ka Ishara Karke Woh Bi Roye Bahut Hamse Kinara Karke Dekh Lete Hai Chalo Hausla ApneDil Ka Zindgi Bhar Bina Unke Gujara Karke.
dil jeet le wo jigar hum bhi rakhte hai qatl kar de wo nazar hum bhi rakhte hai wada kiya hai kisi se sada muskuraane ka warna in aankhon me samandr hum bhi rakhte hai
Aagaaz to hota hai anjaam nahin hota jab meri kahaani mein woh naam nahin hota jab zulf ki kaalikh mein ghul jaye koi raahi badnaam sahi lekin gumnaam nahin hota
agar yeh zid hai k dua salam na ho to us raah se guzro jo rahein aam na ho suna hai mohabbat mai log marte hai khuda kare mohabbtein tumhare naam na ho.......