Sata sata ke hamen ashqbar karti hai Tumhari yaad bahut beqaraar karti hai Gila nahi ke nasibo ne kar diya hai juda Teri judaai bhi hamse pyar karti hai
Barh gaye kuch aur uljhan rabta karne ke baad,khud se bhi shikwa raha un se gila karne ke baaad,is se barh kar aur kya hum per sitam hoga yahan,mashwara manga hai usne faisla karne ke baad.
Umar Jalwo Mein Basar Ho Yeh Zaroori To Nehi Har Shabe Gham Ki Seher Ho Yeh Zaroori To Nehi Neend To Dard Key Bistar Pey Bhi A Sakti Hai, Unki Aaghosh Mei Sar Ho Yeh Zaroori To Nehi
Lahero ko pyar tha kinaro se, par uski shadi hogai sagar se, kinaro ki pireet lahero ko khinch lati hai, par badnaam na ho mohbat is liye laher laut jati hai.