Roone de aaj tu hum ko tu aankh sujaane de, Baahon me le-le aur khud ko bhig jaane de, Hai jo seene me kaid dariya wo chut jaayege, Hai itna dard ke tera daman bhig jaayega.
Zuban khamosh, ankhon me nami hogi, Yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi, Bharne ko to har zakham bhar jayega, kaise bharegi wo jagah jaha Teri kami hogi.
Barh gaye kuch aur uljhan rabta karne ke baad,khud se bhi shikwa raha un se gila karne ke baaad,is se barh kar aur kya hum per sitam hoga yahan,mashwara manga hai usne faisla karne ke baad.
Meri hatheli bhi aap apne paas rakh lo,Jab dua mango to isko bhi utha dena.Khushi mile to apna haath aage kar dena,Gam mile to meri hatheli me thama dena.
YAAD AAOONGA HAR US LAMHE ME YAAD AAOONGA JAB TUM TANHAYEE ME ROYA KAROGI JAGTE JAGTE THAK KAR SOYA KAROGI ANKH KE BAND HOTE HI YAAD AAOONAG JAB KISI CHAHANE WALE KI TARAF DEKHOGI TO YAAD AAOONGA KISI MOHHABATH KARNEWALE KO DEKHOGI TO YAAD AAOONGA SAANS JAB TAK CHALEGI TUMHARI TAB TAK BHI YAAD AAOONGA