Jo gham hai mere dil mein, kaise bayaa karu dhoop bhi jab sard ho to dil ghabraata hai dikhta nahi jo jakhm, use kya dawaa karu, hamdard ko jab dard ho to dil ghabraata hai
Na roke aaj humey koi, dard mein doob jaane de jitney bhi ansoo kaid hain, aaj unko bahaane de suna hai humney, pani ki dhaar se patthar bhi kat jate hain dekhenge, haal pe mere kya sang dil bhi pighal jatey hain…
Dilon se khelne ka hunar hume nahi aata Isiliye ishq ki baazi hum haar gaye Meri zindagi se shayad unhe bahut pyar tha Isiliye mujhe zinda hi maar gaye....
Jakhm itne gahare he ki ijhar kya kare, ham khud nishana ban gaye, war kya kare, Mar gaye ham par khuli rahi aankhe, aab isase jyada unka intejar kya kare?
Ek naqaab sa chehre pe har kisi ne laga rakha hai Aur dilon mein jhaankne ka hunar humein haasil to nahin hai Par aksar chot khaayi hai malham lagane waalon se hi Darte hain kahin aap bhi unme shaamil to nahin hai
"Sath dene ka vada kiya tha,shikwa sehne ka vada kiya tha,agar wo hame bhulakar khush hain to koi gam nai,kyuke hamne to unko khush rkhne ka vada kiya tha.
Ik boond sharab mein tumhaari nasha dontha ho, Isi bahane hum har roz ek mehfil doontha hoon, Bewaffai ka zakhm to chupalaete hain yaaro, Par un yaadon keliye ek kafan doontha hoon"
Dil Ne Tere Bare Main Poocha To Bohat Roya Vo Shaks Jo Pather Tha,Toota To Bohat Roya Ye Dil Ke Judai Ke Wo Barso Se Chup Tha To Bohat Chup Tha,Roya To Bohat Roya