Geele kagaz ke tarah hai zindagi apni koi jalata bhi nahi, koi bahaata bhi nahi, akele hi chale jaa rahe hai dil ke raaho me koi satata bhi nahi, koi manata bhi nahi.
Pyar ki rasmo ko nibhaana aasaan nahi hota Uski kasmon par chalna aasaan nahi hota Chhodh diya humne pyar karna kyunki Apne pyar ko kisi aur ke saath dekhna aasaan nahi hota!
Andhere me rosni ka wajood shayd kahi kho gaya hai,khusi ka silsila bhi ab to ateet ho gaya hai,ik roshan shama banana chahte the khud ko hum,taki door kar saken andhere ka gum,Tej andhi ne shama ka vajood usi andhere me dubo diya hai....
Ek bar mombati ke ander ka dhaga bola, main jalta hu to tu kyu piglti hai? Mombati boli,jisko dil me jagah di ho vo jab bichadta hai to ansu to nikalte hai na.