Mujhe aajmane ka natija kya nikla, dil ka jakhm najro se bhi ghara nikla, Tod kar dekh hi liya tune dil mera, Bata teri tasver ke siva is dil me kya nikla.
Mili Thodi Si Khushi To Mila Ke Pee Gaye, Nahi Thay Hum Bhi Kal Tak Peene Ke Aadi, Sharaab Ko Tanha Dekha To usper Taras Khaa Ke Pee Gaye. Gham Mila To Ghabraa Ke Pee Gaye,
Kehte hain patthar dil aadmi ke, aansoo nahi nikalte; Par teri hi kudrat hai, pattharon se hi jharne phootte hain. Dil patthar ke nahin hote, jamana bana deta hai Sakhta patthar ke peeche ka dard kise pata hota hai?
Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum, Bas yahi ek wada nibha payenge hum. Mita denge khud ko bhi jahan se lekin, Tera naam dil se na mita payenge hum..
kabhi hum ne use apna kaha hi nahi kabhi usne mujhe na apna kaha unhe jate hue hume apni saari khushiya de di unhone unke dard hume sambhal kar rakhna ko kaha.
Aansu ki bundo ko noor kr diya,tanha jeene ke lye majbur kar diya,ye kaisa khel khela takdir ne mere sath,jo dil ke karib tha mere usko hi mujhse door kar diya