Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
is ke badle mujhe tum de gaye jaate jaate apnay ghum ka yeh dumakta hua khoon rung golaab kya karoon bhai, yeh aizaz mein kyoon ker pehnoon mujh se le lo meri sub chaak qamizoon ka hisaab
Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai