Hame Bich Mujhdhar Main Ussne Chod Diya, Phir Dil Hamara Chaha Jisne Usne Tod Diya, Kitna Akela Hu Main Yeh Na Pucho, Jab Mera Sath Mere Saye Ne Bhi Chod Diya.
Wo samajh na sake, haal-e-dil hum keh na sake,Kaise bataye unko hum unke bina reh nahi sake,Kabhi laut ke na aane ki kasam tod di humne,Un ashkon ke liye jo aankhon se beh na sake
Meri hatheli bhi aap apne paas rakh lo,Jab dua mango to isko bhi utha dena.Khushi mile to apna haath aage kar dena,Gam mile to meri hatheli me thama dena.
Rulane se pahale ek bar hasaya to hota, kasur kya hai is dil ka bataya to hota, mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne, kaash ye dil kabhi kahi lagaya na hota.
Dil Shab-E-Tanhaiyo Me Jala Nahi Hota,Tu Agar Muzse Zindgi Me Mila Nhi Hota,Bewafa Banke Meri Maut Ka Kafan Siya Tune,Tu Agar Khud Mita Deta To Gila Nhi Hota