Tere ghar ke deepak mai jal raha hai mera wajood,bhul ke bhi na samjhna mujhe begana tum.mere paas kanto bhare gulaab ke siva kuch bhi nahi,usse bhul kar bhi seenay se na lagana tum.
Kissi ko mohabbat ki sachai mar dalegi, Kissi ko mohabbat ki gehrai mar dalegi, Kar ke mohabbat koi nahi bachega, Aur jo bachega use tanhai mar dalegi.
Phir yehi Tanhai bhi tumara saath degi!! Ek bar dil se Humain Pukar kar bhi dekho!! Mil jaygi Mohabaat kise Rahygozar main bhi! Apne Sar se ye Ameere ka taj Utar kar dekho!!
Ankhen apki ho, par ansu mere Zindagi apki ho, par sanse meri Dil apka ho, par dharkan meri Zindagi ke akhri mor par dua hogi yahi Kafan apka ho, aur maut meri.
Bahoot tamanna thi, rishto ke aashiyan banane ki, Bana chuke toh lag gayi Nazar zammane ki. Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo, Saza mili hai hume muskurane ki ! .......
Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum, Bas yahi ek wada nibha payenge hum. Mita denge khud ko bhi jahan se lekin, Tera naam dil se na mita payenge hum..
Wo kahakar chal diye itni mulakat bahut hai,Hamne kaha ruk jao abhi raat bahut hai,Tham jaye mere ansu to shauk se jana,Aise me kaha jaoge barsaat bahut hai.