Dil ke angan se chand ka didar ho gaya,mai divana ho gaya,chand badalo mai kho gaya,maine badal hatne ka intjar kiya,tabtak chand kisi aur ka ho gaya..
Unhone dekha aur aansu gir padey, bhari basant mein jaise phool bikhar padey! dukh woh nahin ki unhone humein alvida kaha, dukh to ye hain ki uske baad wo khud ro pade!!
Duniya mein kisi se kabhi pyar mat karna, Apne anmol aansoo iss tarah bekar mat karna, Kaante to phir bhi daman tham lete hain , Phulon pe iss tarah kabhi aitebar mat karna..
Andhere me rosni ka wajood shayd kahi kho gaya hai,khusi ka silsila bhi ab to ateet ho gaya hai,ik roshan shama banana chahte the khud ko hum,taki door kar saken andhere ka gum,Tej andhi ne shama ka vajood usi andhere me dubo diya hai....