Yu to sadmo me bhi hans leta tha main, aaj kyun bewajah rone laga hu main... baraso se hatheliya khaali hi rahi meri phir aaj kyun lagata hain ki sab khone laga hun main
Uski mohabbat ka abhi nishan baki Hai, Naam lab par Hai jaan baki Hai kya Hua jo dekh kar Muh pher lete Hain Tasalli to hai k shakl ki pehchaan baki Hai...
Us sikandar ka sikwa koi kya kare,chahat nahi hume apni to uski chahat kya kare,dosh nahi lehro ka dosh nahi tufan ka, kastiya ho bewafa to manjil hi kya kare..
Mitti ka jism leke pani ke ghar me hu, manzil hai maut meri main harpal safar me hu, hona hai qatal ye malum hai, lekin khabar nahi main kis-2 ki nazar mein hu
Gam nahi tha humko kabhi zamaane ki ruswayion ka,Takleef hoti hai jab koi apna khafa ho jata hai,Dil ki khalish aksar jaan leva ho jati hai lekin,Dar-e-dil ek had ke baad dard-e-dawa ho jata hai.
Woh roye to bahot par muh mod ke roye,Bade majbur honge jo dil tod ke roye,Hamare saamne kar diye hamari tasvir ke tukde,Baad me wohi tukde jod jod ke woh roye