Chand ki raton mein sara jahan sota hai, Lekin kisi ki yadoon mein koi badnaseeb rota hai, Khuda kisi ko mohabbat pe fida na kare, Agar kare to kisi ko juda na kare..
kabhi tera naam lete hai Dil se hum inteqam lete hai Meri barbadiyo ke afsane Mere yaro ke naam lete hai Bas yehi ek jurm hai apna Hum muhabat se kaam lete hai.
Mohabbat Ko Mohabbat Ka Ishara Yaad Raheta Hai.Har Pyaar Ko Apna Pyaar Yaad Raheta Hai.Do Pal Jo Unki Bahon Me Guzre Ho Maut Tak Wo Nazara Yaad Raheta Hai.
raaz ki baatain likhi aur khat khula rehney diya jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya.. umar bhar saath reh kar woh na samjha dil ki baat. do dilon kay darmiyan ik faasla rahney diya ! apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood, Khatam ki ranjish magar gila rehney diya !