Roone de aaj tu hum ko tu aankh sujaane de, Baahon me le-le aur khud ko bhig jaane de, Hai jo seene me kaid dariya wo chut jaayege, Hai itna dard ke tera daman bhig jaayega.
Samjhy thy hum k paon k kanty nikal gayeManzil kareeb aaye tou Rasty Badal gaye Dost humko jinki rafaqut pe naz tha Wo log bhi hawa ki tarah rukh badal gaye
Gam nahi tha humko kabhi zamaane ki ruswayion ka,Takleef hoti hai jab koi apna khafa ho jata hai,Dil ki khalish aksar jaan leva ho jati hai lekin,Dar-e-dil ek had ke baad dard-e-dawa ho jata hai.
Har khushi mere pehlu me hai fir ye kami kaisi har su jashn ki kaifiyat fir is kone me ghami kaisi is phalte foolte ped me ye kaisi dali murjhaii hai shayad mujhe aaj fir kisi bewafa ki yaad aai hai
Dil k raste or soch ki galiyose guzarte dekha.pyar or jazbato ko yaha kuchalte dekha.zindegi mohabat ka nam kaise kahe,jabki har shaks ko humne badalte dekha.