Na khuda dil

Na khuda dil
Na khuda dil banata na kisise pyar hota, Na kisiki yaad ati na kisika intazar hota. Dil diya hai ise sambhal ke rakhna, Shishe se bana hai pathar se dur rakhna
  

Jan, 27 2012     159 chars (1 sms)     950 views       Shayari > Sad Shayari

more Sad Shayari SMS Messages

Rulane ka mera maksad nahi, Phir bhi ankh bhar aaye to hum kya kare. Bhulane ka hume haq nahi, Koi hume bhool jaye to hum kya kare.
Akele hai, hamein akela rehne do.Duniya ka har gham muje sehne do.Na jatao mujpe hamdardi mere azizon, mat pocho mere ansu inhe behne do.
Har ishk ka matlab gam nahi hota,duriyan badhne se pyar kam nahi hota,waqt bewaqt ho jati hai aankhen nam kyonki yaadon ka koi mausam nahi hota.
Hume to pyaar tha sirf unn se, Dil bhi unhi ko diya tha, Unhe pyaar tha kissi aur se, Dhokha sirf hum ko mila.
Kismat jab likhi to khuda so gaya,jisko b jaan se zyada chaha,wo juda ho gaya,dard sahe hai is dil ne itne ki,dil se dard ka ehsaas kho gaya.
Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi, zubaan sab samajhte hain jazbaat ki, Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin, musaafir ne jaane kahaan raat ki...
Dil ke angan se chand ka didar ho gaya,mai divana ho gaya,chand badalo mai kho gaya,maine badal hatne ka intjar kiya,tabtak chand kisi aur ka ho gaya..
Ankho se aansuo ko ubharne na diya..mitti k motio ko bikharne na diya..jis rah par pade the kadmo k nishan.us rah se kisi ko gujarne na diya
Meri Mayat Ko Jab Uthane Ki Bat Hogi, Har Ankh Se Ansu Ki Barsat Hogi, Aap Muskra Kar 1 Phool Rakh Dena Meri Hatheli Par, Jate Jate Apki Koi Nishani To Mere Sath Hogi
Ek aur raat chali gayi zindagi se, Ek aur din aa raha hai zindagi me; Yeh mat socho ke kitne lamhe hai zindagi me, Yeh socho ke kitni zindagi hai har lamhe me.
Pyaar ka jahaan basaya tha humne... Dil ne dokha de diya. Sapno ka aashiyaana banaya tha humne... Kisine bewafai ke pathar se tod diya. Dard aisa hua k aasmaan ro padaa... Ab Humne pyaar ka astitva hi mita diya.
Der raat jab kisi ki yad satay, thandi hawa jab zulfon ko sahlaye, karlo aankhe band aur so jao, kya pata jiska hai khyal wo khwabon mein aa jaye.