Kabhi zindagi ke pannon ko ulat kar dekhiyega, Aapko ek shaksh yaad aayega, Bhool jaaoge zamane ke diye saare gham, Jab hamare saath guzara waqt yaad aayega.
dard sahne se nahi darte hum,par us dard ke khatm hone ki koi aas to ho.dard chahe jitna bhi dardnaak kyu na ho,par dard dene waale ko uska ehsaas to ho.
Jakhm itne gahare he ki ijhar kya kare, ham khud nishana ban gaye, war kya kare, Mar gaye ham par khuli rahi aankhe, aab isase jyada unka intejar kya kare?
Waqt hai badla aur badli si kahani hai,Sang mere hasin palo ki yaade purani hai,Na lagao mere jakhmo par marham,Mere paas uski bas yahi ek aakhri nishani hai.
Jindgi mein jab b unse mulakat huye, meri aankho se aansuo ke barsat huyi. Duniya ne loot liya mere dil ka sakuun, kya shikait kisi se karu ke kya baat huyi.