Kitni jaldi ye raat guzar jaati hai, pyaas bujhti nahi aur barsaat guzar jaati hai, apni yaado se keh do ki yu hame sataya na kare, neend aati nahi aur raat guzar jaati hai..
Koi kuch bhi na kahay to pata kya hai Is bechain khamoshi ki wajah kya hai Unhain ja kay koi kahay hum lay lenge zahar bhi Woh sirf yeh to bata dain meri khata kya hai.......
Kalam uthayi hai lafs nahi milta, jisko dhoond rahein hain vo shaks nahi milta, firte hain vo jamaane ki talaash mein, bas humare liye unhe waqt nahi milta!!!
Mere Khwabo Me Aana Unka Kasur Tha,Unse Dil Lagana Hamara Kasur Tha,Woh Aaye The Zindagi Me Pal Do Pal Ke Liye,Par Unko jindgi samaj lena hamara kasur tha.