Zakhm aisa diya koi dawa kaam na aayi,Aag aisi lagai ke paani se bhi na bujh paayi,Hum aaj bhi rote hai unki yaadon me,jinhe hamari yaad aaj tak na aayi.
karib rehne ki chah to hamaen bhi thi,par na jane kyon faasle hi darmiyan aaye... marz ki dava to le lete hum bhi,par na jaane gyon jakhm nazar hi nahin aaye.
kuch khwab khwab reh jaate hai kuch sapne adhure reh jaate hai chahat ka wada wafa ki kasmein kagaz pe chand tehrerein reh jaati hai tujhse milna tujhe paane ki aarzoo kuch khwahishein hasratein reh jaati hai tere saath bita waqt tere sang guzre lamhe maazi k faqt yaadein reh jaati hai.